Monday 13 October 2014

“YA HAYYAU” All Problems ====> One Solution

Bismillah-yaallah.in
 “Bismillah hirrahman nirraheem”
“In The Name of Allah The Most Beneficent, The Most Merciful”
“Sallallaahu Ala Muhammad Sallallahu Alayhe Wa Alayhi Wasallam”


In English:

“Ya Hayyu”Ya Hayyu-yaallah.in

In Arabic:
Ya Hayyu-yaallah.in
Hamesha Tandrust Rehne Ka Amal
Allah Ta’ala ki sub naimaton mein se sub se afzal naimat tandrust hai. Chunkeh Allah ki tamaam naimaton se faida uthane ke liye tandrusti hi kaam ati hai is liye Allah se hamesha tandrust rehne ki dua mangte rehna chahiye. Tandrusti qaim rakhne ke liye “Ya Hayyu” 100 martaba hamesha parhna bohat mufeed hai. Is ke ilawa agar koi shakhs shakhs isay kasrat se parhne ka mamool bana le tou woh hamesha sehat mand rahe ga. Agar kabhi bimar bhi ho ga tou foran sehatyab ho ga. 3000 baar roz parha jaye tou kabhi bimar na hoga.

In Urdu:
Kamyab Operation Ka Wazifa
Zindagi bhi hai aur moot bhi Allah ke hath mein. Woh doctor jo is baat ka khawahish mand ho keh us ka har operation kamyab ho tou usay chahiye ke Ya Hayyu ko daily morning time 700 times read kare us ke baad operation karte waqt Ya Hayyu ka khula wird kare. Jitni baar parh sakta ho parhe.

yaallah.in muhar

Hadsa Se Hifazat Mein Rehne Ka Amal
 Zindagi mein hadsa ka paish ajana aqal se baeed nahin. Is liye aisay kaam karna jin mein hadsa hone ka khatra ho jese driver ki duty dena ya kisi machine par kaam karna, soldier ki service amooman hadsat se do char hoti hai. Is liye fauji sapahiyon, darya mein kashti chalane wale malahon, bus, car, rikshaw aur engine drivers ke liye Ya Hayyu ka wird bohat mufeed hai. In shaa Allah isay parhne wala hamesha hadsaat se mehfooz rahe ga. Jo shakhs pahari alaqe mein safar par jaye tou raste mein usat parhta jaye. In shaa Allah zinda salamat apne ghar wapas aye ga. Is ka wird jani aur mali nuqsan se mehfoz rakhta hai. Is liye pur sakoon aur ba hifazat rehne ke liye daily 100 baar parhna mufeed hai.
Safety from Unfavorable Incidents/accidents:
Recite this daily 1000 times to become safe from all calamities/accidents/unfavorable incidents like accidents during journey, driving, machine operator’s accidents during work.


yaallah.in muhar

Falij Ka Ilaj
Falij mein insani jism ka khuch hisa bekar ho kar kaam karna chor deta hai yani murda ho jata hai us bekar hisay ko dobara zinda kar ke usay asal ki tarah kar dena Allah ke ikhtiyar mein hai lihaza jo insan falij ka mareez ho usay chahiye ke medical treatment karne ke sath Ya Hayyu ka bohat zayada wird kare.

In English:
Cure from Paralysis
Recite ” Ya Hayyu” as much as he can. during the treatment of his/her paralysis.

yaallah.in muhar

Ya Hayyu ka naqsh har marz mein shifa me kam yabi ke liye kaam karta hai is liye koi Ya Hayyu ka amil ban kar dusron ko taweez dena chahe ya khud istemal mein lana chahe tou aik muqaam muqarar kare aur us par rozana 10000 martaba Ya Hayyu parhe aur 110 din tak chilla kare. Ye zakat ada karne ke baad woh is ka amil ho jaye ga. Phir jis kisi ko 11 baar parh kar water par dam kar ke dey ga woh In sha Allah shifa paye ga. Amil banne ke baad Ya Hayyu ka naqsh bhi har bimari ke ilaj ke liye de sakta hai aur us naqsh ko mareez apne paas rakhe tandrust hoga.

Ya Hayyu ka wazifa qaza-e-hajat ke liye bohat mujarab hai
Agar koi bimar shakhs 141 times Ya Hayyu pani par dam kar ke eleven days tak piye tou woh tandrust ho jaye ga kyoun ke ye wazifa har qisam ki bimari ke liye bohat akseer hai. Khaas tor par shugar, blood pressure aur falij mein isay 3000 baar rozana parhain ya 11000 baar parh lain aur phir pani par 11 din tak parh kar dam karain aur pani mareez ko pilayein us ki tabiyat behtar ho jayegi.

In English:
“Ya Hayyu” to fulfill all your legible needs/desires
Recite “Ya Hayyu” 141 times and blow it on water, do this for 11 days regularly, he/she will be recovered from any disease he was having.
Specially  blood pressure, sugar, paralysis- recite 3000 times or 11000 times then blow it (do a dumm) on water for 11 days. Any patient  if drink this water will be cure from these diseases insha Allah Azzawajal.
yaallah.in muhar