Wednesday, 1 July 2015
Tuesday, 30 June 2015
Monday, 29 June 2015
DAWAT E ISMAY HUSNA
Aj ap par woh raz zahir karny ja rahy
hoon jisko ulma ne hamesha akhfa me rakha, dunia ki kisi kitab me apko
ye tafsil nahin milay gi, behtar he ke is post ko apni hard drive me
save kar lain.Dawat e Ismay Husna ke bahot se tariqay amliat ki books
me darj milty hain, sabhi darust hain, magar ek talib e ilm ko ye ilm
nahi hota ke usay kis tariqay pe amal karna chahiy, qk zakwat ke kai
tariqay raij hain jo shakhs jis tariqay pe amal karay ga usi ke mutabiq
hi usay taseer o fawaid hasil hon ge, Aksar log zakwat ada karty hain
phir bhi shikwa karty hain ke taseer zahir nahi hoti, woh log ye kehny
me apni jagah haq bajanib hoty hain magar ye bat poori trah se darust
nahi, dar haqiqat ulma ne haroof or isma ki qawwi taseer se kam leny ke
tariqon ko hamesha raz hi rakha, kisi ne poocha to bata diya ke 40 din
me sawa lakh parh lo zakwat ada ho jay gi, or naqaal amilin ne is
triqay ko harf e akhir samjh ke be dharak har kitab me chaap dala bina
jany ke is tariqa e zakwat ki efficacy kia he? Talib ilmon ko yahi
bataya ke isi ko zakawt e akbar kaha jata he, kuch ulma ne kaha ke kisi
ism me jitny haroof hon utni hazar bar 40 yom tak parha jay, kisi ne
kaha ism ke adad nikal ke haroof se zarab day ke jo tadaad ay woh 40
yom tak wird ki jay, magar is zaman me kisi ne lab kushai na ki ke kis
tariqay se kis darja taseer zahoor ho gi ya aya is qism ki zakwat ki
tajdid ki zaroorat to nahi? Isi tarah kuch kutab e jafr me bhi ek 7 yom
ka tareeqa e zakwat darj hota he magar bukhl ki waja se is ko bhi
mukamal ayan na kia gya, yad rakhiy makhfi aloom itna kitabon me nahin
hoty jitna ke seenon me pay jaty hain, Ap tamam Muslims bhayion se
darkhwast he ke jo bhi is post se faida uthay mery haq me zaroor dua e
khair karay.
Ab asal mozoo ki taraf atay hain,
1: 40 din
me parh ke sawa lakh poora karny se zakat e saghir ada hoti he, ye amal
zindgi me sirf ek bar kam deta he, kutab me likha he ke ye zakawt e
akbar he magar ye darust nahin, jin sahiban ne is tariq e kar se zakat
ada ki ho gi woh khood tajrba kar ke dekh sakty hain, isliy esay tamam
amliyat jin me 40 din me sawa lakh poora kar ke hamzad ki hazri ka amal
kia jata he amal ke poora hony pe ek bar hamzad zaroor samny ata he,
agar amal poora ho or muaida qarar pay to thik warna usay azadi mil
jati he or esay amliat jin me tadad bahot kam hoti he ya kam dino ke
hoty hain un me aksar mudat poori hony pe hamzad hazir nahi hota., kisi
bhi amal e taskhir keliy ye tadad kafi samjhi jati he. ye zakat kisi
or ko mutaqil nahi ki ja sakti.
2: Aksar kutab e jafr or amliat me zakwat ki 7 din me adaigi ka tariqa e kar darj he, jo ke hasb e zail he: kisi bhi ism me jis qadar haroof hon
unko hazar bar shumar kia jay e.g; Lateef me 4 haroof hain to 4000 bar
hua isko 4 se zarb di to 16000 hua ye nisab kehlata he, pehly din ba
niyat e nisab 16000 bar parha jay ga, iska nisaf 8000 zakwat kehlata he,
ye tadad dusray din wird ki jay gi, phir zakwat ka nisf 4000 hua ye
ashar kehlata he teesray din ashar ki niyat se 4000 bar wird ho ga. phir
iska bhi nisf kia 2000 hua ye chothay yom ka wird hua isay qafl kehty
hain, phir 5th yom ko dor e mudawar ki tadad wird ki jaygi jo ke nisab
ke barabar ho gi. 6th yom bazil 7000 parha jay ga or 7th yom khatm ki
niyat se 1200 bar ism ka wird ho ga, bazil or khtm ki tadad yahi muqarar
he, yeni jis ism ki bhi zakwat ada ki jay 6th or 7th yom yahi tadad ho
gi. tafsil is naqha me dekhain,
Lekin ye zakawt kahan kam day gi kitna
kam day gi is baray me khamoshi, or is ke agay ka kia procees he is pe
bhi khamoshi he. Ye zakwat e saghir he, zindi me sirf ek bar kaam day
gi, iskay bad waseet, asghar, akbar, kabeer, kabair or akbar e kabair ka
tariq kia he is pe aj roshni dali jay gi.
1: ZAKWAT E SAGHIR:
kisi bhi ism me jis qadar haroof hon
unko hazar bar shumar kia jay e.g; Lateef me 4 haroof hain to 4000 bar
hua isko 4 se zarb di to 16000 hua ye nisab kehlata he, pehly din ba
niyat e nisab 16000 bar parha jay ga, iska nisaf 8000 zakwat kehlata
he, ye tadad dusray din wird ki jay gi, phir zakwat ka nisf 4000 hua ye
ashar kehlata he teesray din ashar ki niyat se 4000 bar wird ho ga.
phir iska bhi nisf kia 2000 hua ye chothay yom ka wird hua isay qafl
kehty hain, phir 5th yom ko dor e mudawar ki tadad wird ki jaygi jo ke
nisab ke barabar ho gi. 6th yom bazil 7000 parha jay ga or 7th yom
khatm ki niyat se 1200 bar ism ka wird ho ga, bazil or khtm ki tadad
yahi muqarar he, yeni jis ism ki bhi zakwat ada ki jay 6th or 7th yom
yahi tadad ho gi. Ye zakwat zindigi me sirf ek bar kam day gi, yeni agar
ksi ne is tariq e kar se ism e Allah, Lateef ki zkwat ada ki ho to woh
is ism se sirf ek bar kam le sakta he, yeni agar woh is ism ka koi
naqsh waza kary ga or usky nichy azimat ba muakil likh ke muakil ism ko
hukm day ga to ek or sirf ek bar muakil us jaiz sharai kam ko karny ka
paband hoga bashrt ye ke naqsh asool o zawabit se likha gya ho. Doosri
bar taseer zahir nahi ho gi.
2: ZAKWAT E WASEET:
Zakwat e waseet hamesha Zakwat e
sagheer ke bad ada ki jati he, saghir ki tarah waseet bhi 7 yom me
mukamal ho sakti he farq sir tadad ka hoga, yeni woh tadad jo ham ne
zakwat e saghir keliy nikali thi usay ek bar phir haroof se zarb di jay
gi, misal keliy ism Lateef ka chart diya gya he jis din ki tadad
ziyada ho usay 7 ya 14 yom me taqseem kia ja sakta he.. Zakwat e waseet
ke bad madavmat or tajdid dono zaroori hain, jis qamri mah me zakwat
ada ki gai thi ainda sal usi qmri mah me doobara ada karna ho gi agar
ada na ki gai to is nay saal me ism se kam nahi lia ja saky ga. ksi or
ko ijazat nahi di ja sakti. lekin agar koi isky bad ki zakwat e Asghar
ada kar day to phir usay tajdid e zakwat ki zaroorat ainda sal nahi ho
gi. yeni ek sal tak ism se kam lia ja sakta he, tajdid kar di to asar
baqi rahy ga tajdid na ki to sal bad amal kam nahi day ga.
3: ZAKWAT E ASGHAR:
Zakwat e Waseet ke ada karny ke bad ek
sal ke andar andar zakwat e asghar ada ki ja sakti he, ya agar koi sal
ke akhir me zakwat e waseet ki tajdid karta he to woh bhi zakwat e
asghar ada kar sakta he, jo shakhs tjdid e zakwat na kary or sal guzar
jay usay phir zakwat e saghir se shuroo karna hoga, zakwat e asghar bhi 7
yom me ada ho sakti he, zakawt e asghar ka hamil dusray ko ijazat day
sakta he magar phir zakwat dusray ko muntaqil ho jay gi khood saheb e
taseer nahi rahy ga. iski tajdid 2sal ke andar andar ki ja skti he magar
madawmat zaroori he. triqa e kar wahi rahy ga ke zakwat e waseet ki
tadad ko ek bar phir haroof se zarb di jay gi.jisn din ki tadad ziada ho
usay 7,14 ya 21 dino pe taqseem kia ja sakta he.
4: ZAKWAT E KABEER:
Zakwat e Asgar ada karny ke do sal ke
andar andar zakwat e kabeer ada kar sakty hain, jo koi zakwat e kabeer
ada kary ga usay phir tajdid ki zaroorat nahi rahy gi, hamesha hamesha
amal se taseer zahir ho gi, magar jis ko ijazat day ga khood khali hath
reh jay ga, madawmat zaroori ho gi Tareeqa e kar wahi rahy ga ke
zakwat e asghar ki tadad ko ek bar phir haroof ki tadad se zarb di jay
gi. ye zakwat poori zindgi kam day gi, jis din ki tadad zaya ho us ko
7,14,21 ya 28 dino me taqseem kia ja sakta he, iam e Ilahi Lateef se
misal di gai he.
5: ZAKWAT E AKBAR:
Jo shakhs zakwat e Kabeer ka hamil ho
jab chahy zakwat e akbar ada kar sakta he, zakwat e akbar ada karny ke
bad jis ko marzi ijazat day, chahy ek ko ijazat day chahy hazar ko, apni
zakwat bhi barqrar rahy gi is maqam pe pahuch kar marhla asan ho jata
he ab tadad me kami waqi ho gi, is bar zakwat e kabeer ki tadad ko
taqseem kia jay ga haroof ki tadad par, or ye zakwat e akbar tadad me
zakwat e asghar ke barabr ho gi. misal keliy chart dekhain, jo tadad
ziyada ho woh 7,14,21,28 ya 35 din me taqseem ki ja sakti he, tajdid ki
zaroorat nahi, madavmat lazmi he.
6: ZAKWAT E KABAAIR:
Zaklwat e Akbar ka hamil jab chahy
zakwat e kabir ada kar sakta he, is maqam pe pahnch ke amal ki taseer
saif e zubaan ho jati he, mehz chand bar wird karny se hi taseer e kamil
ka zahoor ho ga, tariqa e kar mazeed asan he, zakwat e akbar ki tadad
ko phir haroof pe taqseem kia jay ga, ye zakwat tadad me zakwat e
waseet ke barabar thehry gi. tajdid ki zaroorat nahi lekin madawmat
lazim ho gi, kisi din ki tadad ko, 7,14,21,28,35 ya 42 din me taqseem
kia ja sakta he.
7: ZAKWAT E AKBAR E KABAAIR:
Zakwat e kabair ka hamil apni zindgi me
jab chahy zakwat e Akbar e kabaair ada kar sakta he, is zakwat ke ada
karny ke baad na to tajdid e zakwat ki zaroorart rahy gi or na hi
madawmat ki, is bar zakwat e kabaair ki tadad ko phir haroof ki tadad pe
taqseem kia jay ga pas ye zakwat tadad me zakwat e saghir ke barabar
thehry gi.
Thursday, 29 January 2015
ASMA UL HUSNA 99 BEAUTIFUL NAMES OF ALLAH (SWT)
|
Subscribe to:
Posts (Atom)